Thursday, September 23, 2010

======TANHA BANA DIYA=====

sb se chupa ke dard wo jo muskura diya,
us ki hansi ne aaj mujhe rula diya.

lejhy se uth rahi thi ek dastan-e dard,
chehra bata raha tha ke sb kuch gawa diya.

awaz mein thehrao tha aur aankhon mein nami,
par Keh raha tha ke mein ne sb kuch bhula diya.

jane kya thi logon se us ko shikayatein,
tanhaion ki Desh mein khud ko basa diya.

khud bhi bichar kar mujhse adhora sa ho gaya,
mujh ko bhi itne logo mein TANHA bana diya.....!!!!!

1 comment: